baat bhi un se kar nahin aati

By rahbar-jadeedJuly 7, 2021
baat bhi un se kar nahin aati
aankh bhi apni bhar nahin aati
maut aati hai dahr mein sab ko
aashiqon ko magar nahin aati


jaan to apni aa gai lab par
koi un ki khabar nahin aati
mai se bhi gham ghalat nahin hota
taba ab mauj par nahin aati


na-umidi ki ab ye surat hai
koi ummid bar nahin aati
nama-bar ki bhi ho khabar ya-rab
koi us ki khabar nahin aati


jo dua su-e-arsh jati hai
ho ke phir ba-asar nahin aati
kis tawaqqo pe hum jien 'rahbar'
ek tamanna bhi bar nahin aati


48028 viewsghazalEnglish