baat jo purani hai usko bhul jate hain
By arshad-rasool-badayuniOctober 27, 2023
baat jo purani hai us ko bhul jate hain
zindagi ko ab mil kar zindagi banate hain
barishon ke mausam mein barishen nahin dekhin
mom ke badan wale dhup se nahate hain
phul badliyan barish aur chandni shabnam
ye sabhi tadapte hain sab tumhein bulate hain
tum nae libason mein khub hi chamakte ho
hum to kahkashan ban kar dil mein jagmagate hain
ab nahin koi rishta aaj muddaten guzrin
nam se tumhaare phir log kyon chidhate hain
ruh ka ye maila-pan dur kar liya hota
aap ganga-jal se to khub hi nahate hain
khal rahi yahan behad pyar ki kami 'arshad'
ganw ke wo chaubare aaj bhi bulate hain

33322 viewsghazal • English