baat kis kis se ho gai meri

By aamir-azherOctober 4, 2024
baat kis kis se ho gai meri
tu jo palken bhigo gai meri
jab se apna 'ilaj karwaya
sha'iri khatm ho gai meri


kaun si baat par gira aansu
kaun si chiz kho gai meri
ab na khwabon ka tazkira karna
nind barbaad ho gai meri


khwab jitne the sare bhul gaya
jab se fehrist kho gai meri
jagta kyon hun raat bhar 'amir'
ab to qismat bhi so gai meri


36145 viewsghazalEnglish