baat rakhne ka mauqa diya jaega

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
baat rakhne ka mauqa' diya jaega
bhid uth jaegi tab kaha jaega
naujawanon se rishte banaunga phir
raat-bhar ghar se bahar raha jaega


phir se baithunga tasnim ki tal par
phir padosi se jhagda kiya jaega
wo jo ek yar hai apne bachpan ka yar
us ke ghar bhi kisi din ruka jaega


ek dam kat gaya hun mohalle se main
phir se shadi walima kiya jaega
itni jaldi bhi kya hai shifa ki tumhein
waqt aane pe achchha kiya jaega


sari nazren kinare pa rah jaengi
ek sar jhil mein dubta jaega
12420 viewsghazalEnglish