baat tumhaari aaj tak koi hui hai kab ghalat tum jo kaho wo sab baja hum jo kahen wo sab ghalat aap ka wada kal bhi tha aaj hai wada dusra qaul-o-qarar aap ka jab na ghalat na ab ghalat dil mein thi maujzan khushi shauq fuzun tha har ghadi din mein jo kuchh umid thi ho gai waqt-e-shab ghalat kyun na gaya payambar ghair ke pas bhul kar aisi sunai aa ke baat ho gai sab tarab ghalat ghair kahe wo sab durust aap kahen wo sab baja baat hamari haq bhi ho hoti hai be-sabab ghalat ghair ka dawa-e-wafa kizb ki intiha nahin aa ke sunai dastan ek sire se sab ghalat 'hafiz'-e-haq-pasand ki baat ki qadr thi kabhi harf-e-ghalat ki tarah kyun ho gaya khud wo ab ghalat