baat ye zehn mein uske bhi to aa sakti hai

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
baat ye zehn mein us ke bhi to aa sakti hai
bewafai ki hawa tazgi la sakti hai
ab to ye sochti hai meri tawajjoh-talabi
maut hi ghar pe mere bhid laga sakti hai


masala ye hai ki din raat hamein fursat hai
aur fursat badi tafsil mein ja sakti hai
dubne bhar ka to pani nahin is mein lekin
ye nadi ab bhi meri pyas bujha sakti hai


mashware mangna bekar hai khamoshi se
bas ye aawaz mein aawaz mila sakti hai
'am insan hun kamzor hain aa'sab mere
koi bhi dil-shikani mujh ko rula sakti hai


62114 viewsghazalEnglish