bach nikalna kya iKHtiyar mein hai

By arshad-minangariApril 21, 2021
bach nikalna kya ikhtiyar mein hai
zindagi maut ke hisar mein hai
aarzu aur mere dil ki bisat
ek shoala sa reg-zar mein hai


kitne suraj nigal gai zulmat
aas ka dip kis shumar mein hai
jo khizan mein bhi mil nahin sakti
wo udasi bhari bahaar mein hai


nafraten ko bhi jis se nafrat ho
aisi nafrat tumhaare pyar mein hai
be-qarari mein tha qarar magar
aaj to bekali qarar mein hai


hauslon ki nigah se dekho
kaamrani ka raaz haar mein hai
wo bhi tum ne diya nahin hum ko
jo tumhaare hi ikhtiyar mein hai


na-muradi ki had hai ye 'arshad'
jit bhi apni aaj haar mein hai
74685 viewsghazalEnglish