bacha ab kya hamara hai

By abu-hurrairah-abbasiSeptember 2, 2024
bacha ab kya hamara hai
khasara hi khasara hai
bhanwar mein phans gaya hun main
yahan koi kinara hai


bulawa us ne bheja hai
ye sab kaisa ishaara hai
wo aae hain hamein milne
bichhadna phir dubara hai


are aao miyan baitho
lo khanjar ye tumhaara hai
jigar ka khun de de kar
tera har qarz utara hai


agar aae to aae maut
yahi bas ek chaara hai
khushi mumkin nahin thi par
hamein ye gham gawara hai


hamari har ghazal ka hi
mohabbat isti'ara hai
sar-e-sahra musafir hun
meri manzil wo tara hai


74669 viewsghazalEnglish