bachpan hai ek KHwab jawani fareb hai

By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
bachpan hai ek khwab jawani fareb hai
is zindagi ki puri kahani fareb hai
dariya mein hum jab utre to dariya thahar gaya
tab ja ke ye khula ki rawani fareb hai


mashkiza rakh do pyas ko rahne do ba-waqar
ye karbala hai dosto pani fareb hai
do chaar din ka sog hai do chaar din ka gham
har aankh ki ye ashk-fishani fareb hai


kya kya nahin hai bolta tanhaiyon mein dil
mahfil mein us ki ‘ijz-bayani fareb hai
aage andheri raat hai phir aag ugalta din
kuchh der ki ye sham suhani fareb hai


ye dasht hai wo ghar tha koi farq hai 'kamal'
'uqda khula ki naql-e-makani fareb hai
20988 viewsghazalEnglish