bachpan mein is darakht pe kaisa sitam hua jo shakh is ki man thi wahan se qalam hua munsif ho ya gawah manaenge apni khair gar faisla ana se meri kuchh bhi kam hua ek raushni tadap ke ye kahti hai barha kyun aasman ka nur ghataon mein zam hua yak-lakht aa ke aaj wo mujh se lipat gaya jo fasla dilon mein tha ashkon mein zam hua