bad-qismati pe zor mera chal nahin raha

By hamza-bilalFebruary 26, 2024
bad-qismati pe zor mera chal nahin raha
ye hadisa kisi bhi tarah tal nahin raha
aaseb ke wo sae musallat hain in dinon
aankhon mein ek khwab talak pal nahin raha


jaan-e-bahaar ab ye takalluf bhi chhod de
jab main teri nigah mein awwal nahin raha
kya khub mo'jiza hai ki sho'la-badan ke main
pahlu mein aa gaya hun magar jal nahin raha


is masale ka hal to faqat aap the huzur
ab aap kah rahe hain koi hal nahin raha
she'r-o-sukhan bhi band hai pichhle baras se aur
is dil ka karobar bhi ab chal nahin raha


'hamza-bilal’ sakht hai aisa bala ka sakht
sab kuchh ganwa ke hath talak mal nahin raha
95080 viewsghazalEnglish