baDa be-dard hota ja raha hai
By sumaira-khalidFebruary 29, 2024
bada be-dard hota ja raha hai
mera dil sard hota ja raha hai
andhere ne kahi kya baat aisi
sawera zard hota ja raha hai
koi manzil bhi hai is rah mein kya
musafir gard hota ja raha hai
badhe hain jab se aalat-e-payami
akela fard hota ja raha hai
khapaya zan ko fikr-e-do-jihat mein
siyana mard hota ja raha hai
simat aai hai mutthi mein khudai
payambar fard hota ja raha hai
mera dil sard hota ja raha hai
andhere ne kahi kya baat aisi
sawera zard hota ja raha hai
koi manzil bhi hai is rah mein kya
musafir gard hota ja raha hai
badhe hain jab se aalat-e-payami
akela fard hota ja raha hai
khapaya zan ko fikr-e-do-jihat mein
siyana mard hota ja raha hai
simat aai hai mutthi mein khudai
payambar fard hota ja raha hai
52245 viewsghazal • English