badan badan ki zarurat se mar Dala gaya

By nomaan-shauqueFebruary 27, 2024
badan badan ki zarurat se mar dala gaya
jo bach raha wo mohabbat se mar dala gaya
na titliyon se tha khatra na jugnuon se khauf
hamein to khair shararat se mar dala gaya


jo gard aane na dete the apne kapdon tak
unhen bhi kaisi nafasat se mar dala gaya
khuda-e-husn kharabi isi nazar mein thi
ek aaina meri hairat se mar dala gaya


tamam zor-e-khitabat khilaf tha apne
'adu ke 'ilm ki taqat se mar dala gaya
ek aur shakhs mere doston ke andar tha
use thapak ke mohabbat se mar dala gaya


kai gawah bhi kam aap ko saza ke liye
hamein to ek shahadat se mar dala gaya
69348 viewsghazalEnglish