badan bandhe hue sanson ki rahdari mein rahte hain

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
badan bandhe hue sanson ki rahdari mein rahte hain
ki hum har dam kahin jaane ki tayyari mein rahte hain
na hon aansu to ye aankhen bhali lagti nahin hum ko
so aksar aap apni hi dil-azari mein rahte hain


hamein ma'lum hai raunaq ye bazaron ki jhuti hai
magar phir bhi fareb-e-husn-e-bazari mein rahte hain
hum ahl-e-'ishq phir ahl-e-hawas se mat kha baithe
wazifa-khwar bazm-e-husn-e-darbari mein rahte hain


hamare dil to hain masruf sarkaren girane mein
badan ta'mil-e-ahkaamat-e-sarkari mein rahte hain
dabe hain khak mein kitne hi suraj chand aur tare
so hum apni zamin ki aasman-kari mein rahte hain


hamari sha'iri ek mustaqil holi ka mausam hai
hazaron rang is lafzon ki pichkari mein rahte hain
‘janab-e-farhat-ehsas' ab na shahri hain na sahrai
musalsal darmiyan-e-khwab-o-be-dari mein rahte hain


77184 viewsghazalEnglish