badan charagh nahin hain mohabbaten apni
By nomaan-shauqueFebruary 27, 2024
badan charagh nahin hain mohabbaten apni
magar ye lau ko badhati zaruraten apni
tamam haq ke taraf-dar chaaron khane chit
koi sanbhaal na paya sadaqaten apni
badal na len kahin rasta ye aag ki lapten
hamein hi rakh na kar den ye nafraten apni
ab us se ru-baru hone mein kuchh nahin rakkha
bala ke naqsh banati hain wahshaten apni
samet apne sitaron ko aasman wale
bujha ke chhod gain jin ko hasraten apni
kidhar se aati hai jaane ye khwab-nak sada
to kam na hongi kabhi kya masafaten apni

99814 viewsghazal • English