badan kaman nazar tir karne wala hai

By adil-mustaqueemJanuary 1, 2024
badan kaman nazar tir karne wala hai
wo mere khwab ko ta'bir karne wala hai
suna hai zo'm hai us ko kamal-e-husn se wo
tasawwuraat ko zanjir karne wala hai


wo ek shakhs main jis se kabhi mila hi nahin
meri jahan mein tashhir karne wala hai
sahar ka phir se guman hai mila ke mujh se nazar
mujhe phir aaj wo taskhir karne wala hai


manao jashn karo ja ke dushmanon ko khabar
wo mujh ko hasil-e-taqdir karne wala hai
juda na honge jo is bar hum baham honge
nai kuchh aisi wo tadbir karne wala hai


40893 viewsghazalEnglish