badan ke khet ko ab sinchna hai
By samina-saqibMarch 1, 2021
badan ke khet ko ab sinchna hai
jo boya tha wo aakhir katna hai
teri aawaz ko main chhu rahi hun
tera lahja mujhe ab dekhna hai
main ek mazdur ki beti hun pagle
mujhe khwabon ka rasta rokna hai
mujhe chhup kar kahin rona hai pahle
phir apni man se hansna bolna hai
mohabbat ke nirale zaiqe hain
isi patthar ko har pal chatna hai
main wo chidiya hun jis ko umr sari
isi pinjre mein udna sikhna hai
main khud apni rukawat hun 'samina'
mujhe khud rasta bhi dhundhna hai
jo boya tha wo aakhir katna hai
teri aawaz ko main chhu rahi hun
tera lahja mujhe ab dekhna hai
main ek mazdur ki beti hun pagle
mujhe khwabon ka rasta rokna hai
mujhe chhup kar kahin rona hai pahle
phir apni man se hansna bolna hai
mohabbat ke nirale zaiqe hain
isi patthar ko har pal chatna hai
main wo chidiya hun jis ko umr sari
isi pinjre mein udna sikhna hai
main khud apni rukawat hun 'samina'
mujhe khud rasta bhi dhundhna hai
55048 viewsghazal • English