badan ke sare jazire shumar karte hue
By salim-saleemFebruary 28, 2024
badan ke sare jazire shumar karte hue
main thak gaya hun samundar ko par karte hue
hum aise ahl-e-junun bazm-e-agahi mein hanuz
qusur-e-be-khabari bar-bar karte hue
main apna 'aks ab aakhir kahan talash karun
hain aaine mere chehre pe war karte hue
teri talash mein aakhir ye din tamam hua
kategi raat tera intizar karte hue
rafu-gari ka hunar sikh hi liya hum ne
khud apne dil ki rida tar-tar karte hue

39640 viewsghazal • English