badan ke sath hi aashob-e-jaan uThae hue

By farooq-noorFebruary 6, 2024
badan ke sath hi aashob-e-jaan uthae hue
chalo kuchh aur ye bar-e-garan uthae hue
hamare jaise to do chaar das hi honge yahan
zamin pe phirte hain jo aasman uthae hue


badha di maut ne kuchh aur bhi meri takrim
hain hathon hath mujhe mehrban uthae hue
hasin ban ke guzari hai zindagi main ne
tamam yar rahe barchhiyan uthae hue


'ajib khwab ye dekha guzishta shab main ne
khade hain log mujhe darmiyan uthae hue
main us ke samne kab tak rahunga sina-sipar
wo mujh ko dekh raha hai kaman uthae hue


tamam sahra hi gulshan dikhai deta hai
hai tere pairon ke jab se nishan uthae hue
tamam raat ki rudad kah rahi hai 'nur'
ye bujhti sham' labon par dhuan uthae hue


68105 viewsghazalEnglish