badan ki sarhad pe barishon ki jhaDi lagi hai ajab ghaDi hai

By abid-razaFebruary 17, 2025
badan ki sarhad pe barishon ki jhadi lagi hai 'ajab ghadi hai
tilism tuta fasil-e-imkan gir padi hai 'ajab ghadi hai
ghadar pada hai guzarti sa'at hazar yaaden udhedti hai
main kya bataun yahan to dilli ujad chuki hai 'ajab ghadi hai


zamin pe robot apne aansu ka zaiqa tak bata rahe hain
machine-zadon pe kya karamat utar rahi hai 'ajab ghadi hai
koi jawan phir jala raha hai khudai aatish-kade se mash'al
zamin ki harakat se aasmanon mein khalbali hai 'ajab ghadi hai


jahan-e-hairat-sara mein mohlat kahan kisi ko nasib howe
ajal-girafta hayat sar pe khadi hui hai 'ajab ghadi hai
wujud apni shikastagi ko fana ki chakki mein pista hai
'adam-nawardon ne maut ki simfani suni hai 'ajab ghadi hai


fana ke andhe kuen mein koi tilism aisa bhi jalwa-gar hai
ki zindagi ki pari bhi us mein utar rahi hai 'ajab ghadi hai
riwaq-e-basra ki shama-e-iman se bagh-e-jannat sulag utha hai
yaqin ki barish ne aag dozakh ki sard ki hai 'ajab ghadi hai


tamash-bino sarab-e-hasti ko chashm-e-hairat mein tolte ho
mujhe batao ye zindagi hai ki phuljhadi hai 'ajab ghadi hai
16960 viewsghazalEnglish