badan ko zakhm karen khak ko labaada karen junun ki bhuli hui rasm ka iada karen tamam agle zamanon ko ye ijazat hai hamare ahd-e-guzishta se istifada karen unhen agar meri wahshat ko aazmana hai zamin ko sakht karen dasht ko kushada karen chalo lahu bhi charaghon ki nazr kar denge ye shart hai ki wo phir raushni ziyaada karen suna hai sachchi ho niyat to rah khulti hai chalo safar na karen kam se kam irada karen