badan mein jaise lahu taziyana ho gaya hai

By irfan-siddiqiOctober 31, 2020
badan mein jaise lahu taziyana ho gaya hai
use gale se lagae zamana ho gaya hai
chamak raha hai ufuq tak ghubar-e-tira-shbi
koi charagh safar par rawana ho gaya hai


hamein to khair bikharna hi tha kabhi na kabhi
hawa-e-taza ka jhonka bahana ho gaya hai
gharaz ki puchhte kya ho maal-e-sokhtagan
tamam jalna jalana fasana ho gaya hai


faza-e-shauq mein us ki bisat hi kya thi
parind apne paron ka nishana ho gaya hai
kisi ne dekhe hain patjhad mein phul khilte hue
dil apni khush-nazari mein diwana ho gaya hai


40080 viewsghazalEnglish