badan se ruh talak hum lahu lahu hue hain tumhaare ishq mein ab ja ke surkh-ru hue hain hawa ke sath udi hai mohabbaton ki mahak ye tazkire jo meri jaan ku-ba-ku hue hain wo shab to kat gai jo pyas ki thi aakhiri shab sharik girya-e-shabnam mein ab sabhu hue hain tumhaare husn ki tashbib hi kahi hai abhi charagh jalne lage phul mushk-bu hue hain ajib lutf hai is tutne bikharne mein hum ek musht-e-ghubar ab chahaar-su hue hain baja hai zindagi se hum bahut rahe naraaz magar batao khafa tum se bhi kabhu hue hain main tar-tar 'zafar' ho gaya hun jis ke sabab falak ke chaak usi fikr se rafu hue hain