badan tha soya hua ruh jagti hui thi
By salim-saleemFebruary 28, 2024
badan tha soya hua ruh jagti hui thi
ye kaisi raat mere darmiyan ruki hui thi
main sajda-rez hun dahliz-e-asman pe abhi
ki mujh ko khil'at-e-khaki yahin mili hui thi
chatakh ke tut gai hai to ban gai aawaz
jo mere sine mein ek roz khamushi hui thi
badha ke rakkha gaya hai hisab-e-roz-e-jaza
na jaane is ke liye kaun si kami hui thi
chamak gae meri aankhon mein anfus-o-afaq
ki tere dhyan se dam-bhar ko raushni hui thi
jala gaya hai lahu mein koi charagh-e-sukhan
bahut dinon se tabi'at meri bujhi hui thi

86719 viewsghazal • English