baDe nazon se dil mein jalwa-e-jaanana aata hai
By qadr-bilgramiNovember 12, 2020
bade nazon se dil mein jalwa-e-jaanana aata hai
ye ghar jis ne banaya hai wo wo sahab-khana aata hai
khuda ke waste munh se laga de khum ke khum saqi
bada ghanghor baadal jaanib-e-mai-khana aata hai
nikal jata hai munh se nam un ka baaton baaton mein
zaban par jo na aana tha wo betabana aata hai
nikalti hai kisi par jhum kar wo mujh pe girti hai
tumhaari tegh ko kya shewa-e-mastana aata hai
bahaar aakhir hui hai 'qadr' ki turbat pe mela hai
yahan bedi badhane ko har ek diwana aata hai

84331 viewsghazal • English