badh gaya gar mera israr to phir kya hoga kar diya aap ne inkar to phir kya hoga pad gaya sard ye bazar to phir kya hoga na raha main bhi kharidar to phir kya hoga log kahte hain ki main tark-e-talluq kar lun na gaya tab bhi ye aazar to phir kya hoga main jo bil-farz sar-e-tur chala bhi aaun na hua aap ka didar to phir kya hoga ishq ki rah pe tum chal to diye ho 'anjum' na hua rasta hamwar to phir kya hoga