baDhe chalo ki zamane ko ye dikhana hai

By kaif-moradaabadiNovember 3, 2020
badhe chalo ki zamane ko ye dikhana hai
jahan hamare qadam hain wahin zamana hai
ye husn-o-ishq ki tafriq ek bahana hai
kahin nazar ko kahin dil ko aazmana hai


ab is junun-e-talab ka koi thikana hai
ki apne aap ko kho kar bhi un ko pana hai
bas ek ishq hi aisa sharab-khana hai
jahan surur ka mafhum hosh aana hai


ilahi tamkanat-e-husn-o-naz-e-husn ki khair
kuchh aaj ishq ka andaz walihana hai
main har gunah ki haqiqat bata to dun sar-e-hashr
magar unhen jo har ilzam se bachana hai


zara junun-e-tamanna se dil guzar jae
phir is ke baad koi dam hai na dana hai
main jaanta hun jo hai farq-e-zat-o-partaw-e-zat
meri nigah pas-e-parda-e-zamana hai


kise nasib ho sajda ye aur baat hai 'kaif'
har ek jabin ke qarib un ka aastana hai
70247 viewsghazalEnglish