badi farz-ashna hai saba kare khub kaam hisab ka phir uda ke le gai ek waraq meri zindagi ki kitab ka kahun kya ki dasht-e-hayat mein raha silsila wo sarab ka kabhi hausla hi na kar saki meri aankh dariya ke khwab ka na ata-e-dukhtar-e-raz hai ye na hai faiz-e-saqi-e-mai-nafas jo chadhe to phir na utar sake ye nasha hai fan ki sharab ka sar-e-rah mil ke bichhad gae tha bas ek pal ka wo hadsa mere sehn-e-dil mein muqim hai wahi ek lamha azab ka mere sath sath safar mein hai mere ghar ki sari hamahami sar-e-gosh qahqahe ras-bhare sar-e-dosh phul gulab ka do farishta dast-e-bala liye do chhalakte jam taka kiye mere ham-rikab wo mauj-e-gul wahi sail-e-chashm-e-pur-ab ka main agarche kar bhi chuka raqam idhar ek daftar-e-ranj-o-gham magar intizar hai dam-ba-dam mujhe pahle khat ke jawab ka ye jo mere saghar-e-dil mein hai mai-e-fan hai khun ki kashid hai yahi ek umr ka ma-hasal yahi tosha khana-kharab ka zara soch anjum-e-na-tawan ye wafa ka zikr kahan kahan sar-e-bazm kar na ise bayan ye sabaq hai sirf nisab ka