baDi fursaten hain kahin guzar nahin kar raha

By salim-saleemFebruary 28, 2024
badi fursaten hain kahin guzar nahin kar raha
main ye 'ishq us se jo kaam bhar nahin kar raha
main tumhaare saya-e-chashm mein hun pada hua
suno ab yahan se kahin safar nahin kar raha


tere baam par hun nai chamak ki talash mein
yunhi apni khak idhar udhar nahin kar raha
abhi aasman ke bojh se hi nidhaal hun
abhi apne haal pe main nazar nahin kar raha


su-e-dasht jaen mere tamam tamashbin
ki junun to ab ke main apne ghar nahin kar raha
41043 viewsghazalEnglish