baDi hasin-o-tarab-za kitab paDhta hun

By badr-jamaliOctober 24, 2023
badi hasin-o-tarab-za kitab padhta hun
main un ka qissa-e-auj-e-shabab padhta hun
kabhi kabhi to main ek satr bhi nahin padhta
kabhi kitab ke ba'd-az-kitab padhta hun


khat un ka hath mein hai dil pe be-khudi tari
main khat kahan khat-e-jam-e-sharab padhta hun
nazar se un ki mila kar nazar sar-e-mahfil
main har sawal ka apne jawab padhta hun


rida-e-lala-o-gul bhi kitab ka hai waraq
main is mein qissa-e-husn-o-shabab padhta hun
kabhi to yun bhi meri zindagi lagi hai mujhe
ki jaise main kisi majnun ka khwab padhta hun


isi mein mujh ko mila mere dard ka darman
isi liye to main ummul-kitab padhta hun
jo khat bhi likhkhun to fauran jawab aata hai
main roz un ka jawab-ul-jawab padhta hun


kise hai shauq 'jamali' ghazal sunane ka
ba-hukm-e-sadr-e-fazilat-maab padhta hun
36430 viewsghazalEnglish