baDi umid se hum bhi usi qatar mein hain
By nazar-dwivediFebruary 27, 2024
badi umid se hum bhi usi qatar mein hain
tere to chand sitare bhi pasdar mein hain
sikha rahe hain saliqa hamein sadaqat ka
jo muddaton se gunahon ke rozgar mein hain
tamam dost jo aae hain sab ko jaldi hai
chita mein aag lagane ke intizar mein hain
tumhein gila hai ki sapne rahe adhure sab
hamare khwab to kab se hi regzar mein hain
wo hai sukun se jis ko nahin koi matlab
musibaten to zamane mein sirf pyar mein hain
mita ke mujh ko tasalli nahin habibon ko
na jaane kaisi tabahi ke intizar mein hain
dara rahe the qayamat se jo hamein ab tak
suna hai ab wo 'adawat ke karobar mein hain

78202 viewsghazal • English