badli hui duniya ki nazar dekh rahi hun

By sarahat-ahmad-sarahatJanuary 4, 2024
badli hui duniya ki nazar dekh rahi hun
dekha nahin jata hai magar dekh rahi hun
ashkon mein talatum ka asar dekh rahi hun
dubi hui aankhen hain magar dekh rahi hun


mayus nahin hun main andheron se zara bhi
har sham ke pahlu mein sahar dekh rahi hun
manzil ki kashish mere qadam khinch rahi hai
simti hui har rahguzar dekh rahi hun


ji khol ke shabnam ne lutaya hai khazana
bikhre hue gulshan mein guhar dekh rahi hun
13699 viewsghazalEnglish