bagh-e-adan ke khilte gulabon ke sath tha
By abdul-matin-jamiSeptember 26, 2021
bagh-e-adan ke khilte gulabon ke sath tha
main ek hasin jism ke khwabon ke sath tha
mahrumiyon ka faiz azabon ke sath tha
ye silsila ghamon ki kitabon ke sath tha
main sun raha tha apni sadaon ki bazgasht
lekin dimagh fan ke rababon ke sath tha
har bund garche apne lahu ki hui safed
pani zara sa phir bhi sarabon ke sath tha
the hadson ke shahr mein sab us ke mo'taqid
wo jo hamesha khana-kharabon ke sath tha
shohrat ka har gulab hua gharq-e-ab jab
'jami' tera wajud hababon ke sath tha

56446 viewsghazal • English