bagh-e-urdu ki mahak raaz-e-khuda hoti hai shahr-e-urdu mein hawa baad-e-saba hoti hai achchha jitna bhi ho lahja wo sada hoti hai baat kar le jo sukhan-gar to juda hoti hai harf milte hain jo dil se to nida aati hai ma'ni lafzon se milen to wo rida hoti hai she'r padhne pe yunhi dad nahin milti unhen urdu to shirin-dahan par hi fida hoti hai sunne walon ko kisi aur nagar le jae urdu walon ki zaban rab ki 'ata hoti hai lahja mil jae jo urdu se to wo naz kare urdu lahje se mile to wo ada hoti hai khushbu urdu ki nazar aati hai dil walon mein khanak urdu ki to boli mein sada hoti hai