bagh mein subh-o-sham aana jaana raha lala-o-gul se milna milana raha
By kaleem-aajizFebruary 26, 2024
bagh mein subh-o-sham aana jaana raha lala-o-gul se milna milana raha
jis zamane ki ye baat hai dosto ab wo mausam na ab wo zamana raha
hum ghazal gaen tu raqs kar saqiya ki salamat tera baada-khana raha
mai to jam-o-surahi mein bharpur hai khun hamari ragon mein raha na raha
kaun ai 'ishq tera pujari bane bazm mein koi ahl-e-wafa na raha
ek goshe mein hum rah gae hain yahan so hamara bhi ab kya thikana raha
ye to sach hai ki sarmaya-e-abru aaj chand aansuon ke siwa na raha
tanz se jin pe tum hans rahe ho gulo kal inhin jeb-o-daman mein kya na raha
yun to kahne ko hum chaak-daman bhi hain zulf-e-barham ki surat pareshan bhi hain
jab se sar phod lene ki 'adat gai tab se diwangi mein maza na raha
'aql bechaari larza-bar-andam hai himmat-e-‘ishq chal ab tera kaam hai
manzil-e-dar par log yun ruk gae jaise aage koi rasta na raha
garche 'ajiz' hain hum aur nadar hain mahfil-e-shad ke rind-e-khuddar hain
ye khuda-saz chullu salamat rahe jam ki kya shikayat raha na raha

27388 viewsghazal • English