bagh pa kar khafaqani ye daraata hai mujhe saya-e-shakh-e-gul afi nazar aata hai mujhe jauhar-e-tegh ba-sar-chashma-e-digar malum hun main wo sabza ki zahrab ugata hai mujhe muddaa mahw-e-tamasha-e-shikast-e-dil hai aaina-khana mein koi liye jata hai mujhe nala sarmaya-e-yak-alam o aalam kaf-e-khak aasman baiza-e-quamri nazar aata hai mujhe zindagi mein to wo mahfil se utha dete the dekhun ab mar gae par kaun uthata hai mujhe bagh tujh bin gul-e-nargis se daraata hai mujhe chahun gar sair-e-chaman aankh dikhata hai mujhe shor-e-timsal hai kis rashk-e-chaman ka ya rab aaina baiza-e-bulbul nazar aata hai mujhe hairat-e-aina anjam-e-junun hun jyun shama kis qadar dagh-e-jigar shola uthata hai mujhe main hun aur hairat-e-jawed magar zauq-e-khayal ba-fusun-e-nigah-e-naz satata hai mujhe hairat-e-fikr-e-sukhan saz-e-salamat hai 'asad' dil pas-e-zanu-e-aina bithata hai mujhe