bagh se muttasil hai ek gali
By ikram-arfiFebruary 26, 2024
bagh se muttasil hai ek gali
jahan khilti hai mere dil ki kali
mahbas-e-dil mein tum nahin aae
ek din to yahan hawa bhi chali
teri furqat ke dagh dil mein rakhe
tere kuche ki khak munh pe mali
ek tu hai ki hai nazar aata
ek main hun ki hun khafi na jali
zar-e-khairaat phenk deta hun
kaun chakkhe sakhawaton ki dali
sukhne wale phir hare na hue
rah ki ghas phir na phuli-phali
puchhte ho ki kaun hai 'ikram'
kabhi dekha hai kya jadid 'wali'
jahan khilti hai mere dil ki kali
mahbas-e-dil mein tum nahin aae
ek din to yahan hawa bhi chali
teri furqat ke dagh dil mein rakhe
tere kuche ki khak munh pe mali
ek tu hai ki hai nazar aata
ek main hun ki hun khafi na jali
zar-e-khairaat phenk deta hun
kaun chakkhe sakhawaton ki dali
sukhne wale phir hare na hue
rah ki ghas phir na phuli-phali
puchhte ho ki kaun hai 'ikram'
kabhi dekha hai kya jadid 'wali'
93855 viewsghazal • English