baghal mein humne raat ek ghairat-e-mahtab dekha hai

By mubarak-azimabadiNovember 8, 2020
baghal mein hum ne raat ek ghairat-e-mahtab dekha hai
tumhin is khwab ki tabir ho kya khwab dekha hai
tadap bijli ki bhi dekhi hai wo dil tham lete hain
teri be-tabiyon ko bhi dil-e-betab dekha hai


wo ulfat dost hon naseh dua hi dil se nikli hai
agar dushman ke ghar bhi majma-e-ahbab dekha hai
khuda ke samne ai mohtasib sach bolna hoga
mere saghar mein mai dekhi hai ya khun-nab dekha hai


'mubarak' iztirab-e-shauq ka aalam nahin chhupta
ki jab dekha hai hum ne aap ko betab dekha hai
73218 viewsghazalEnglish