bahaar aa kar jo gulshan mein wo gaen to ghuncha har taraf chutki bajaen ye tum ko dekh kar gul phul jaen ki jame mein na phir phule samaen mile rasta to su-e-charkh jaen kahan tak is zamin par khak udaen misal-e-shama us par lau lagaen sahar tak sham se aansu bahaen mere marne se ye andher ka sog kaho missi malen surma lagaen chaman mein us se ham-chashmi ye dida teri aankhen na nargis phut jaen khuda ke pas kya jaenge zahid gunah-garon se jab ye bar paen taraddud phul ka kis waste hai meri turbat pe wo tewri chadhaen mere lashe ko kandha de ke bole chalo turbat mein ab tum ko sulaen 'sakhi' rote hi rote dam nikal jae faraghat ho kahin ganga nahaen