bahaaron se KHizan tak yunhi sair-e-gulsitan kar ke

By ajiz-matviMay 29, 2024
bahaaron se khizan tak yunhi sair-e-gulsitan kar ke
rafu karte rahe hum jeb-o-dastan dhajjiyan kar ke
milega kya tujhe sayyaad mujh ko be-zaban kar ke
sukun-e-qalb milta hai mujhe aah-o-fughan kar ke


chaman ko raushni di nazr-e-atish aashiyan kar ke
kiya ye tajraba hum ne ghar apna raegan kar ke
haqiqat mein karam tum ne kiya hai haq-shanason par
har ek ko waqif-e-rasm-e-jabin-o-astan kar ke


utha pae na hum lutf-e-bahaaran mausam-e-gul mein
kahan gum ho gai parwaz qaid-e-ashiyan kar ke
ab aisi zindagi se maut aa jati to behtar tha
hui tazhik apni dastan-e-dil bayan kar ke


agar tafsil se kahta to wo shayad samajh jate
main ab pachhta raha hun ikhtisar-e-dastan kar ke
bhatakte rahte yunhi aur na pate 'umr-bhar manzil
bada ehsan kiya tum ne sharik-e-karwan kar ke


samajh mein aa gai un ki khas-o-khashak ki 'azmat
gai hain bijliyan aakhir tawaf-e-ashiyan kar ke
zahe mashq-e-tasawwur hum unhen dekha hi karte hain
chhupen chahe jahan wo parda-ha-e-darmiyan kar ke


samundar phir hilore lega tahzib-o-tamaddun ka
zara dekho to 'ajiz' shamil-e-urdu-zaban kar ke
68622 viewsghazalEnglish