bahar guzar di kabhi andar bhi aaenge hum se ye puchhna kabhi hum ghar bhi aaenge khud aahani nahin ho to poshish ho aahani yun shisha hi rahoge to patthar bhi aaenge ye dasht-e-be-taraf hai gumanon ka mauj-khez is mein sarab kya ki samundar bhi aaenge aashuftagi ki fasl ka aaghaz hai abhi aashuftagan palat ke abhi ghar bhi aaenge dekhen to chal ke yar tilismat-e-samt-e-dil marna bhi pad gaya to chalo mar bhi aaenge ye shakhs aaj kuchh nahin par kal ye dekhiyo us ki taraf qadam hi nahin sar bhi aaenge