bahar ka mahaul to hum ko aksar achchha lagta hai

By asghar-mehdi-hoshOctober 27, 2020
bahar ka mahaul to hum ko aksar achchha lagta hai
sham se ek din ghar mein rah kar dekhen kaisa lagta hai
kis ki yaaden kis ke chehre ugte hain tanhai mein
aangan ki diwaron par kuchh saya saya lagta hai


jismon ke is jangal mein bas ek hi ram-kahani hai
ghaur se dekho to har chehra apna chehra lagta hai
mausam ki ayyash hawa ne kachche phal bhi tod liye
shakh pe larzan patta patta sahma sahma lagta hai


dana dana dam laga hai jal bichha hai pani par
hae-re ye masum kabutar kitna bhola lagta hai
surkh parinda dub raha hai kali jhil ke pani mein
sach kahna ai sahil walo tum ko kaisa lagta hai


sae ki ummid na rakhiye patthar ki chattanon se
bosida diwar ka saya phir bhi saya lagta hai
mahrumi ki taswiren bhi kitni dil-kash hoti hain
thak kar sone wale ko har khwab sunahra lagta hai


ud ke parinde par na paen sham ko thak kar laut aaen
'hosh' mujhe ye sara aalam ek jazira lagta hai
29592 viewsghazalEnglish