bahar ki kya yaad aae ghar yaad nahin aata
By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
bahar ki kya yaad aae ghar yaad nahin aata
ab to apna jism bhi aksar yaad nahin aata
zakhmon ki sari tahriren yaksan lagti hain
kis ne mara pahla patthar yaad nahin aata
kahan uthaya kahan jhukaya kahan kataya tha
itne kirdaron wala sar yaad nahin aata
ruh kahan ki jab jism-o-jaan par ban aai ho
koi qalandar koi payambar yaad nahin aata
karte karte raqs thahar jata hun ghabra kar
jab bhi apne raqs ka mehwar yaad nahin aata
apni shan-e-nuzul samajh mein aane lagti hai
jab koi apne se bartar yaad nahin aata
qatre ne aap apni shakhsiyyat hasil kar li
baghi ko ab mulk-e-samundar yaad nahin aata
tujh ko to sab yaad hai jaan-e-man 'farhat-ehsas'
tu hi kyon phir aage badh kar yaad nahin aata

25606 viewsghazal • English