bahar nikal ke dekhiye tufan kam hua
By nomaan-shauqueFebruary 27, 2024
bahar nikal ke dekhiye tufan kam hua
mat roiye janab ka nuqsan kam hua
sada-dili mein jaan ganwani padi hamein
sab jhuth kah rahe the ki haijaan kam hua
hum ishtihaar wale nahin she'r wale the
mehnat ziyaada ki gai e'lan kam hua
hum to tumhaare hijr mein mar hi gae the yar
waraftagi nahin thi so nuqsan kam hua
tera pata sanbhaal ke rakkha ye chaal thi
main apni justuju mein pareshan kam hua
sehhat ka ghusl kar ke kiya 'ishq zeb-e-tan
ya'ni badan ki maut pe iman kam hua

55765 viewsghazal • English