bahisht-zar hasin gul-kade mein rahte the

By rana-mohammad-yusufMay 8, 2022
bahisht-zar hasin gul-kade mein rahte the
hum ek sath kisi mintaqe mein rahte the
na jaane kaun se pal ka tha intizar hamein
na jaane kab se hum ek dusre mein rahte the


yahin kahin the pareshan khwab ki surat
kabhi to nind kabhi ratjage mein rahte the
bahut si jhilen tere chashm-o-lab se milti thin
bahut se ped mere raste mein rahte the


zamanon baad kahin samna hua apna
safar mein the magar ek daere mein rahte the
kahin jagah hi nahin thi hamein samane ko
hum apni zat ke hairat-kade mein rahte the


hamari raushni to ek thi wajud alag
ki do charagh the ek taqche mein rahte the
yaqin jaan ki ek dusre ka aks the hum
aur ek sath kisi aaine mein rahte the


ajib gosha-e-tanhai mein pada hua hun
tamam log kabhi rabte mein rahte the
73853 viewsghazalEnglish