bahki bahki hui chalti hai hawa aaKHir-e-shab
By shehzad-anjum-burhaniJanuary 5, 2024
bahki bahki hui chalti hai hawa aakhir-e-shab
band karta hai koi band-e-qaba aakhir-e-shab
shab-e-rafta ki kahani na kahin dohra de
dur se aati hui teri sada aakhir-e-shab
aakhir-e-shab mein hi asrar-e-badan khulte hain
chand karta hai tere haq mein du'a aakhir-e-shab
aakhir-e-shab mein hi hota hai tasarruf khud par
rag-e-jaan mein utar aata hai khuda aakhir-e-shab
phadphadate hue shakhon se parinda nikla
dur sannate mein ek shor utha aakhir-e-shab

84620 viewsghazal • English