bahte dariyaon mein pani ki kami dekhna hai umr bhar mujh ko yahi tishna-labi dekhna hai ranj dil ko hai ki ji bhar ke nahin dekha tujhe khauf is ka tha jo aainda kabhi dekhna hai shab ki tariki dar-e-khwab hamesha ko band chand din baad to duniya mein yahi dekhna hai khun ke qatron ne tufan utha rakkha hai ab rag-o-pai mein mujhe barf jami dekhna hai kis tarah rengne lagte hain ye chalte hue log yaro kal dekhoge ya aaj abhi dekhna hai