bahte rahna ek bahana hota hai
By nomaan-shauqueFebruary 27, 2024
bahte rahna ek bahana hota hai
dariya ko sagar tak jaana hota hai
'umr muqarrar hoti hai har rishte ki
majburan bhi hath chhudana hota hai
duniya ki sari achchhi taswiron mein
ek chehra jaana-pahchana hota hai
kachche rangon wali titli kya jaane
barish mein bhi sath nibhana hota hai
sab se gahri hoti hai lafzon ki chot
lahje ka har war bachana hota hai
dariya ko sagar tak jaana hota hai
'umr muqarrar hoti hai har rishte ki
majburan bhi hath chhudana hota hai
duniya ki sari achchhi taswiron mein
ek chehra jaana-pahchana hota hai
kachche rangon wali titli kya jaane
barish mein bhi sath nibhana hota hai
sab se gahri hoti hai lafzon ki chot
lahje ka har war bachana hota hai
63495 viewsghazal • English