bahut baDa nahin ghar khiDkiyan kushada nahin

By baqar-naqviJanuary 2, 2024
bahut bada nahin ghar khidkiyan kushada nahin
hamara phir bhi safar ka koi irada nahin
khuda ka shukr ki ab tak to nabz chalti hai
lahu baha to hai lekin bahut ziyaada nahin


visal-o-hijr ki rudad kis jagah likhkhun
meri kitab ka koi waraq bhi sada nahin
bas ek khak ki chadar hai aur nahif badan
qaba nahin koi turra nahin labaada nahin


tumhein chamakne ka haq kis tarah milega bhala
tumhaara chand sitaron ka khanwada nahin
bas ek qalam hai to do-chaar lafz chand khayal
main kakh-o-ku nahin rakhta main shahzada nahin


ye sab zamin ke boson ke zakhm hain 'baqar'
tamam dasht mein hum sa koi piyaada nahin
50116 viewsghazalEnglish