bahut bura hun meri jaan bahut bura hun main

bahut bura hun meri jaan bahut bura hun main
khulus dekh mera khud ye kah raha hun main

kuchh ek buraiyan mujh mein azal se thahri hain
kuchh is zamane mein aa kar bura hua hun main

ye shairi nahin dar-asl ek parda hai
baghair shor kiye jis mein chikhta hun main

agar kisi ko milun to mujhe khabar kar de
pata chala hai ki kuchh din se gum-shuda hun main

guzarte waqt ki aadat hai sab badal dena
jahan kabhi main ziyaada tha ab zara hun main

mujhe samajhna bhala sab ki dastaras mein kahan
koi kahani main thodi hun falsafa hun main

zara sa waqt hai phir waqt hi bataega
ki sach mein kaun hun kaisa hun aur kya hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close